Wednesday 31 August 2016

Islaam ki buniyaad paanch cheezon par hai

Islaam ki buniyaad paanch cheezon par hai

1) Kalima
2) Namaz
3) Roza
4) Zakaat
5) Haj


In Paanch cheezon ko mukhtasar andaz mein is app mein pesh karne ki koshish ki gayi hai.

Share this on: Email | Telegram | WhatsApp

Tuesday 30 August 2016

Kalima-e-Taiyyibah

لَآ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللّٰهِ

La ilaaha illallaahu Muhammadur rasoolullaah.

Tarjama: Allah ke siwa koi ma'abood nahin, (Hazrat) Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Monday 29 August 2016

Kalima-e-Shahaadat

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُهٗ

Ash-hadu allaa ilaaha illallaahu wa ashhadu anna Muhammadan 'abduhoo wa rasooluh.

Tarjama: Main gawaahi deta hoon ke Allah ke siwa koi ma'abood nahin aur main gawaahi deta hoon ke (Hazrat) Muhammad (ﷺ) Allah ke bande aur us ke Rasool hain.

(Mustadrak: 9)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp


Sunday 28 August 2016

Imaan-e-Mujmal

اٰمَنْتُ بِاللهِ كَمَا هُوَ بِأَسْمَائِهِ وَصِفَاتِهِ وَقَبِلْتُ جَمِيْعَ أَحْكَامِهِ

Aamantu billaahi kamaa huwa bi-asmaa-ihee wasifaatihee waqabiltu jamee-'a ahkaamih.

✺ Tarjama: Main Imaan laaya Allah par jaisa ke woh apne naamon aur sifaton ke saath hai aur main ne us ke tamaam ahkaam qubool kiye.

✺ Ref: (Deeniyat Course book)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp


Saturday 27 August 2016

Imaan-e-Mufassal

اَمَنْتُ بِاللهِ وَمَلَئِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ وَالْيَوْمِ الْاَخِرِ وَالْقَدْرِ خَيْرِهِ وَشَرِّهِ مِنَ اللهِ تَعَالَى وَالْبَعْثِ بَعْدَالْمَوْتِ

Aamantu billaahi wa malaaikatihee wa kutubihee wa rusulihee walyaumil aakhiri walqadri khairihee wa sharrihee minallaahi ta'aalaa walba'asi ba'adal maut.

Tarjama: Main Imaan laaya Allah par aur us ke Farishton par aur us ki Kitaabon par aur us ke Rasoolon par aur Qayaamat ke din par aur is baat par ke achchhi aur buri taqdeer Allah Ta'ala ki taraf se hoti hai aur maut ke baad dobaara zinda kiye jaane par.

Ref: Deeniyat Course book

❥Share on: Email | Telegram | WhatsApp